Kuchh yaadgaar-e-shahar-e-sitamgar hee le chalen

कुछ यादगार-ए-शहर-ए-सितमगर ही ले चलें
Year
Language

कुछ यादगार-ए-शहर-ए-सितमगर ही ले चलें
आये हैं इस गली में तो पत्थर ही ले चलें

रंज-ए-सफ़र की कोई निशानी तो पास हो
थोड़ी सी ख़ाक-ए-कूचा-ए-दिलबर ही ले चलें

यूँ किस तरह कटेगा कड़ी धूप का सफ़र
सर पर ख़याल-ए-यार की चादर ही ले चलें

ये कह के छेड़ती है हमें दिल-गिरफ़्तगी
घबरा रहे हैं आप तो बाहर ही ले चलें

इस शहर-ए-बे-चराग़ में जायेगी तू कहाँ
आ ऐ शब-ए-फ़िराक़ तुझे घर ही ले चलें

kuchh yādgār-e-śhahar-e-sitamgar hī le chaleṅ
āye haiṅ is galī meṅ to patthar hī le chaleṅ

raṅj-e-safar kī koī niśhānī to pās ho
thoṛī sī khāk-e-kūchā-e-dilbar hī le chaleṅ

yūṇ kis tarah kaṭegā kaṛī dhūp kā safar
sar par khayāl-e-yār kī chādar hī le chaleṅ

ye kah ke chheṛtī hai hameṅ dil-giraftgī
ghabrā rahe haiṅ āp to bāhar hī le chaleṅ

is śhahar-e-be-charāġh meṅ jāyegī tū kahāṇ
ā ai śhab-e-firāq tujhe ghar hī le chaleṅ