Kuchh to duniyaa kee inaayaat ne dil tor diyaa

कुछ तो दुनिया की इनायात ने दिल तोड़ दिया
Year
Language

कुछ तो दुनिया की इनायात ने दिल तोड़ दिया
और कुछ तल्ख़ी-ए-हालात ने दिल तोड़ दिया

हम तो समझे थे के बरसात में बरसेगी शराब
आई बरसात तो बरसात ने दिल तोड़ दिया

दिल तो रोता रहे और आँख से आँसू न बहें
इश्क़ की ऐसी रवायात ने दिल तोड़ दिया

वो मेरे हैं मुझे मिल जायेंगे आ जायेंगे
ऐसे बेकार ख़यालात ने दिल तोड़ दिया

आपको प्यार है मुझसे के नहीं है मुझसे
जाने क्‌यूँ ऐसे सवालात ने दिल तोड़ दिया

kuchh to duniyā kī ināyāt ne dil toṛ diyā
aur kuchh talkhī-e-hālāt ne dil toṛ diyā

ham to samjhe the ke barsāt meṅ barsegī śharāb
āī barsāt to barsāt ne dil toṛ diyā

dil to rotā rahe aur āṇkh se āṇsū na baheṅ
iśhq kī aisī ravāyāt ne dil toṛ diyā

vo mere haiṅ mujhe mil jāyeṅge ā jāyeṅge
aise bekār khayālāt ne dil toṛ diyā

āpko pyār hai mujhse ke nahīṅ hai mujhse
jāne k‌yūṇ aise savālāt ne dil toṛ diyā