कुछ दूर हमारे साथ चलो हम दिल की कहानी कह देंगे
समझे न जिसे तुम आँखों से वो बात ज़बानी कह देंगे
फूलों की तरह जब होंठों पर इक शोख़ तबस्सुम बिखरेगा
धीरे से तुम्हारे कानों में इक बात पुरानी कह देंगे
इज़हार-ए-वफ़ा तुम क्या समझो इक़रार-ए-वफ़ा तुम क्या जानो
हम ज़िक्र करेंगे ग़ैरों का और अपनी कहानी कह देंगे
मौसम तो बड़ा ही ज़ालिम है तूफ़ान उठाता रहता है
कुछ लोग मगर इस हलचल को बदमस्त जवानी कह देंगे
kuchh dūr hamāre sāth chalo ham dil kī kahānī kah deṅge
samjhe na jise tum āṇkhoṅ se vo bāt zabānī kah deṅge
phūloṅ kī tarah jab hoṅṭhoṅ par ik śhokh tabassum bikhregā
dhīre se tumhāre kānoṅ meṅ ik bāt purānī kah deṅge
izhār-e-vafā tum kyā samjho iqrār-e-vafā tum kyā jāno
ham zikra kareṅge ġhairoṅ kā aur apnī kahānī kah deṅge
mausam to baṛā hī zālim hai tūfān uṭhātā rahtā hai
kuchh log magar is halchal ko badamast javānī kah deṅge