ziṅdgī kī nā ṭūṭe laṛī
pyār kar le ghaṛī do ghaṛī
lambī lambī umriyā ko chhoṛo
pyār kī ik ghaṛī hai baṛī
un āṇkhoṅ kā hṇsnā bhī kyā
jin āṇkhoṅ meṅ pānī na ho
vo javānī javānī nahīṅ
jiskī koī kahānī na ho
āṇsū haiṅ khuśhī kī laṛī
āj se apnā vādā rahā
ham mileṅge har ek moṛ par
dil kī duniyā basāyeṅge ham
ġham kī duniyā kā ḍar chhoṛ kar
jīne marne kī kisko paṛī
lākh gahrā ho sāgar to kyā
pyār se kuchh bhī gahrā nahīṅ
dil kī dīvānī har mauj par
āsmānoṅ kā pahrā na ho
ṭūṭ jāyegī har hathkaṛī