कूब-रूयों से यारियाँ न गईं
प्रेलुदे
ये इनायतें ग़ज़ब की ये बला की मेहरबानी
मेरी ख़ैरियत भी पूछी किसी और की ज़बानी
कभी इल्तिफ़ात-ए-पैहम कभी मुझसे बदग़ुमानी
तेरी वो भी मेहरबानी तेरी ये भी मेहरबानी
ख़ूब-रूयों से यारियाँ न गईं
दिल की बे-इख़्तियारियाँ न गईं
अक्ल सब्र-आशना से कुछ न हुआ
शौक़ की बेकरारियाँ न गईं
दिन की सेहरा-नवर्दियाँ न छुटीं
शब की अख़्तर-शुमारियाँ न गईं
थे जो हमरंग-ए-नाज़ उनके सितम
जिनकी उम्मीदवरियाँ न गईं
तर्ज़-ए-मोमिन में मरहबा 'हसरत्'
तेरी रंगी-निगारियाँ न गईं
prelude
ye ināyteṅ ġhazab kī ye balā kī meharbānī
merī khairiyat bhī pūchhī kisī aur kī zabānī
kabhī iltifāt-e-paiham kabhī mujhse badaġhumānī
terī vo bhī meharbānī terī ye bhī meharbānī
khūb-rūyoṅ se yāriyāṇ na gaīṅ
dil kī be-ikhtiyāriyāṇ na gaīṅ
akla sabr-āśhnā se kuchh na huā
śhauq kī bekrāriyāṇ na gaīṅ
din kī sehrā-navardiyāṇ na chhuṭīṅ
śhab kī akhtar-śhumāriyāṇ na gaīṅ
the jo hamaraṅg-e-nāz unke sitam
jinkī ummīdavriyāṇ na gaīṅ
tarz-e-momin meṅ marahbā 'hasrat'
terī raṅgī-nigāriyāṇ na gaīṅ