Koo-ba-koo phail gaee baat shanaashaaee kee

कू-ब-कू फैल गई बात शनाशाई की
Year
Language

कू-ब-कू फैल गई बात शनाशाई की
उसने ख़ुश्बू की तरह मेरी पज़ीराई की

कैसे कह दूँ के मुझे छोड़ दिया है उसने
बात तो सच है मगर बात है रुस्वाई की

तेरा पहलू तेरे दिल की तरह आबाद रहे
तुझपे गुज़रें न क़यामत शब-ए-तन्हाई की

वो कहीं भी गया लौटा तो मेरे पास आया
बस यही बात है अच्छी मेरे हरजाई की

उसने जलती हुई पेशानी पे जब हाथ रखा
रूह तक आ गई तासीर मसीहाई की

kū-ba-kū phail gaī bāt śhanāśhāī kī
usne khuśhbū kī tarah merī pazīrāī kī

kaise kah dūṇ ke mujhe chhoṛ diyā hai usne
bāt to sach hai magar bāt hai rusvāī kī

terā pahlū tere dil kī tarah ābād rahe
tujhpe guzreṅ na qayāmat śhab-e-tanhāī kī

vo kahīṅ bhī gayā lauṭā to mere pās āyā
bas yahī bāt hai achchhī mere harjāī kī

usne jaltī huī peśhānī pe jab hāth rakhā
rūh tak ā gaī tāsīr masīhāī kī