Konplen phir phoot aaeen shaakh par kahnaa use

कोंपलें फिर फूट आईं शाख़ पर कहना उसे
Year
Language

कोंपलें फिर फूट आईं शाख़ पर कहना उसे
वो न समझा है न समझेगा मगर कहना उसे

वक़्त का तूफ़ान हर इक शय बहा कर ले गया
इतनी तन्हा हो गई है रहगुज़र कहना उसे

जा रहा है छोड़ कर तन्हा मुझे जिसके लिये
चैन न दे पायेगा वो सीम-ओ-ज़र कहना उसे

रिस रहा हो ख़ून दिल से लब मगर हँसते रहे
कर गया बरबाद मुझको ये हुनर कहना उसे

जिसने ज़ख़्मों से मेरा 'शहज़ाद्' सीना भर दिया
मुस्करा कर आज प्यारे चारागर कहना उसे

koṅpleṅ phir phūṭ āīṅ śhākh par kahnā use
vo na samjhā hai na samjhegā magar kahnā use

vaqt kā tūfān har ik śhay bahā kar le gayā
itnī tanhā ho gaī hai rahguzar kahnā use

jā rahā hai chhoṛ kar tanhā mujhe jiske liye
chain na de pāyegā vo sīm-o-zar kahnā use

ris rahā ho khūn dil se lab magar hṇste rahe
kar gayā barbād mujhko ye hunar kahnā use

jisne zakhmoṅ se merā 'śhahazād' sīnā bhar diyā
muskrā kar āj pyāre chārāgar kahnā use