Koee mausam aisaa aae

कोई मौसम ऐसा आए
Year
Language

कोई मौसम ऐसा आए
उस को अपने साथ जो लाए

लोगों से तारीफ़ सुनी है
उस से मिलकर देखा जाए

आज भी दिल पर बोझ बहुत है
आज भी शायद नींद ना आए

हाल है दिल का जुगनू जैसा
जलता जाए बुझता जाए

बीते लम्हें कुछ ऐसे हैं
खुशबू जैसे हाथ ना आए

koī mausam aisā āe
us ko apne sāth jo lāe

logoṅ se tārīf sunī hai
us se milkar dekhā jāe

āj bhī dil par bojh bahut hai
āj bhī śhāyad nīṅd nā āe

hāl hai dil kā jugnū jaisā
jaltā jāe bujhtā jāe

bīte lamheṅ kuchh aise haiṅ
khuśhbū jaise hāth nā āe