कोई जो मिला तो मुझे ऐसा लगता था जैसे
मेरी सारी दुनिया में
गीतों की रुत और रंगों की बरखा है
खुशबू की आँधी है
महकी हुई सी अब सारी फ़ज़ायें हैं
बहकी हुई सी अब सारी हवायें हैं
खोई हुई सी अब सारी दिशायें हैं
बदली हुई सी अब सारी अदायें हैं
जागी उमंगें हैं धड़कर रहा है दिल
साँसों में तूफ़ाँ है, होँठों पे नग़में हैं
आँखों में सपने हैं
सपनों में बीते हुए सारे वो लम्हें हैं
जब कोई आया था, नज़रों पे छाया था, दिल में समाया था
कैसे मैं बताऊँ तुम्हें कैसे उसे पाया था
प्यारे से चेहरे पे बिखरी जो ज़ुल्फ़ें तो ऐसे लगता था जैसे
कोहरे के पीछे एक ओस में धुला हुआ फूल खिला
जैसे बादल में एक चाँद छुपा है और झाँक रहा है
जैसे रत के पर्दे में एक सवेरा है
रोशन रोशन आँखों में सपनों का सागर जिस में
प्रेम सितारों की चादर जैसे
झलक रही है लहरों लहरों बात करें तो जैसे मोती बरसे
जैसे कहीं चाँदी की पायल गूँजे
जैसे कहीँ शीशा-ए-जाम गिरे और छन से टूटे
जैसे कोई चुपके से सितार बजाये, जैसे कोई चाँदनी रात में गाये
जैसे कोई हौले-से पास बुलाये
कैसी मीठी बातें थीं वो, कैसी मुलाक़ातें थीं वो
जब मैं ने जाना था, नज़रों से कैसे पिघलते हैं दिल
और आरज़ू पाती है कैसे मंज़िल
और कैसे उतरता है चाँद ज़मीं पर
कैसे कभी लगता है स्वर्ग अगर है तो बस यहीं पर
उसने बताया मुझे और समझाया मुझे
हम जो मिले हैं हमें ऐसे ही मिलना थ
गुल जो खिले हैं इन्हें ऐसे ही खिलना था
जनमों के बन्धन, जनमों के रिश्ते हैं
जब भी हम जनमें तो हम यहीं मिलते हैं
कानों में मेरे जैसे शहद-सी घुलने लगे
ख़्वाबों की दुनिया भी कितनी हसीं और कैसी रंगीं थी
ख़्वाबों की दुनिया जो कहने को थी, पर कहीं भी नहीं थी
ख़्वाब जो टूटे मेरे, आँखें जो खुली मेरी
होश जो आया मुझे, मैं ने देखा मैं ने जाना
वो जो कभी आया था, नज़रों पे छाया था
दिल में समाया था
जा भी चुका है और दिल मेरा अब तन्हा-तन्हा
न तो कोई अरमाँ है न कोई तमन्ना है
और न कोई सपना है, अब जो मेरे दिन और अब जो मेरी रातें हैं
उन में सिर्फ़ आँसू हैं, उन में सिर्फ़ रंज की बातें हैं
और फ़रियादें हैं, मेरा अब कोई नहीं
मैं हूँ और खोये हुए प्यार की यादें हैं
मैं हूँ और खोये हुए प्यार की यादें हैं
मैं हूँ और खोये हुए प्यार की यादें हैं
koī jo milā to mujhe aisā lagtā thā jaise
merī sārī duniyā meṅ
gītoṅ kī rut aur raṅgoṅ kī barkhā hai
khuśhbū kī āṇdhī hai
mahkī huī sī ab sārī fazāyeṅ haiṅ
bahkī huī sī ab sārī havāyeṅ haiṅ
khoī huī sī ab sārī diśhāyeṅ haiṅ
badlī huī sī ab sārī adāyeṅ haiṅ
jāgī umaṅgeṅ haiṅ dhaṛkar rahā hai dil
sāṇsoṅ meṅ tūfāṇ hai, hoṇṭhoṅ pe naġhmeṅ haiṅ
āṇkhoṅ meṅ sapne haiṅ
sapnoṅ meṅ bīte hue sāre vo lamheṅ haiṅ
jab koī āyā thā, nazroṅ pe chhāyā thā, dil meṅ samāyā thā
kaise maiṅ batāūṇ tumheṅ kaise use pāyā thā
pyāre se chehre pe bikhrī jo zulfeṅ to aise lagtā thā jaise
kohre ke pīchhe ek os meṅ dhulā huā phūl khilā
jaise bādal meṅ ek chāṇd chhupā hai aur jhāṇk rahā hai
jaise rat ke parde meṅ ek saverā hai
rośhan rośhan āṇkhoṅ meṅ sapnoṅ kā sāgar jis meṅ
prem sitāroṅ kī chādar jaise
jhalak rahī hai lahroṅ lahroṅ bāt kareṅ to jaise motī barse
jaise kahīṅ chāṇdī kī pāyal gūṇje
jaise kahīṇ śhīśhā-e-jām gire aur chhan se ṭūṭe
jaise koī chupke se sitār bajāye, jaise koī chāṇdnī rāt meṅ gāye
jaise koī haule-se pās bulāye
kaisī mīṭhī bāteṅ thīṅ vo, kaisī mulāqāteṅ thīṅ vo
jab maiṅ ne jānā thā, nazroṅ se kaise pighalte haiṅ dil
aur ārazū pātī hai kaise maṅzil
aur kaise utartā hai chāṇd zamīṅ par
kaise kabhī lagtā hai svarg agar hai to bas yahīṅ par
usne batāyā mujhe aur samjhāyā mujhe
ham jo mile haiṅ hameṅ aise hī milnā tha
gul jo khile haiṅ inheṅ aise hī khilnā thā
janmoṅ ke bandhan, janmoṅ ke riśhte haiṅ
jab bhī ham janmeṅ to ham yahīṅ milte haiṅ
kānoṅ meṅ mere jaise śhahad-sī ghulne lage
khvāboṅ kī duniyā bhī kitnī hasīṅ aur kaisī raṅgīṅ thī
khvāboṅ kī duniyā jo kahne ko thī, par kahīṅ bhī nahīṅ thī
khvāb jo ṭūṭe mere, āṇkheṅ jo khulī merī
hośh jo āyā mujhe, maiṅ ne dekhā maiṅ ne jānā
vo jo kabhī āyā thā, nazroṅ pe chhāyā thā
dil meṅ samāyā thā
jā bhī chukā hai aur dil merā ab tanhā-tanhā
na to koī armāṇ hai na koī tamannā hai
aur na koī sapnā hai, ab jo mere din aur ab jo merī rāteṅ haiṅ
un meṅ sirf āṇsū haiṅ, un meṅ sirf raṅj kī bāteṅ haiṅ
aur fariyādeṅ haiṅ, merā ab koī nahīṅ
maiṅ hūṇ aur khoye hue pyār kī yādeṅ haiṅ
maiṅ hūṇ aur khoye hue pyār kī yādeṅ haiṅ
maiṅ hūṇ aur khoye hue pyār kī yādeṅ haiṅ