कोई जब तुम्हारा हृदय तोड दे
कोई जब तुम्हारा ह्रदय तोड़ दे
तड़पता हुआ जब कोई छोड़ दे
तब तुम मेरे पास आना प्रिये
मेरा दर खुला है, खुला ही रहेगा, तुम्हारे लिए
अभी तुमको मेरी ज़रूरत नहीं
बहोत चाहनेवाले मिल जायेंगे
अभी रूप का एक सागर हो तुम
कंवल जितने चाहोगी खिल जायेंगे
दर्पन तुम्हे जब डराने लगे
जवानी भी दामन छुड़ाने लगे
तब तुम मेरे पास आना प्रिये
मेरा सर झुका है, झुका ही रहेगा, तुम्हारे लिए
कोई शर्त होती नहीं प्यार में
मगर प्यार शर्तों पे तुमने किया
नज़र में सितारे जो चमके ज़रा
बुझाने लगी आरती का दिया
जब अपनी नज़र में ही गिरने लगो
अंधेरो में अपने ही घिरने लगो
तब तुम मेरे पास आना प्रिये
ये दीपक जला है, जला ही रहेगा तुम्हारे लिए
koī jab tumhārā hrday toṛ de
taṛaptā huā jab koī chhoṛ de
tab tum mere pās ānā priye
merā dar khulā hai, khulā hī rahegā, tumhāre lie
abhī tumko merī zarūrat nahīṅ
bahot chāhnevāle mil jāyeṅge
abhī rūp kā ek sāgar ho tum
kaṅval jitne chāhogī khil jāyeṅge
darpan tumhe jab ḍarāne lage
javānī bhī dāman chhuṛāne lage
tab tum mere pās ānā priye
merā sar jhukā hai, jhukā hī rahegā, tumhāre lie
koī śhart hotī nahīṅ pyār meṅ
magar pyār śhartoṅ pe tumne kiyā
nazar meṅ sitāre jo chamke zarā
bujhāne lagī ārtī kā diyā
jab apnī nazar meṅ hī girne lago
aṅdhero meṅ apne hī ghirne lago
tab tum mere pās ānā priye
ye dīpak jalā hai, jalā hī rahegā tumhāre lie