kajrā mohabbat vālā
aṇkhiyoṅ meṅ aisā ḍālā
kajre ne le lī merī jān
hāy re maiṅ tere kurbān
duniyā hai mere pīchhe
lekin maiṅ tere pīchhe
apnā banā le merī jān
hāy re maiṅ tere kurbān
āyī ho kahāṇ se gorī āṇkhoṅ meṅ pyār le ke
chaṛhtī javānī kī ye pahlī bahār le ke
dillī śhahar kā sārā mīnābāzār le ke
jhumkā barelī vālā, kānoṅ meṅ aisā ḍālā
jhumke ne le lī merī jān
hāy re maiṅ tere kurbān
moṭar na baṅglā māṇgū, jhumkā na hār māṇgū
dil ko jalāne vāle, dil kā qarār māṇgū
saiyyāṇ bedardī mere, thoṛā sā pyār māṇgū
kismat banā de merī, duniyā basā de merī
kar le sagāī merī jān
hāy re maiṅ tere kurbān
jab se hai dekhā tujhko, ho gaye gulām tere
apnā banā le gorī, āyeṅge kām tere
apnā ye jīvan sārā likh deṅge nām tere
kurtā ye jālīvālā, uspar motiyan kī mālā
kurte ne le lī merī jān
hāy re maiṅ tere kurbān