[maniacal laughter] hic!
ham se rauśhan haiṅ chāṇd aur tāre
ham ko dāman samjhiye na ġhairat kā
uṭh gaye ham gar zamāne se
nām miṭ jāyegā muhabbat kā
dil hai nāzuk kalī se phūloṅ se
yah na ṭūṭe khayāl rakhiyegā
aur agar āp se yah ṭūṭ gayā
jān-e-jāṅ itnā hī samjhīyegā
[ṅale voice:] kyā?
phir koī bāṇvrī muhabbat kī
apnī zulfeṅ nahīṅ sṇvāregī
ārtī phir kisī kanhaiyā kī
koī rādhā nahīṅ utāregī, hic!
āo huzūr tumko …
āo huzūr tumko, sitāroṅ meṅ le chalūṇ … hic!
dil jhūm jāe aisī, bahāroṅ meṅ le chalūṇ
āo huzūr āo …
(hamrāz hamakhyāl to ho, hamnazar bano
tay hogā ziṅdgī kā safar, hamasafar bano) - 2
ā hā hā, o o, ho ho ho,
ā hā ā hā hā, o ho ho … hic!
chāhat ke ujle-ujle nazāroṅ meṅ le chalūṇ
dil jhūm jāe aisī, bahāroṅ meṅ le chalūṇ
āo huzūr āo …
likh do kitāb-e-dil pe koī, aisī dāstāṅ
jiskī misāl de na sake, sātoṅ āsmāṅ
ā hā hā, o o, ho ho ho,
ā hā ā hā hā, o ho ho … hic!
bāhoṅ meṅ bāheṅ ḍāle, hazāroṅ meṅ le chalūṇ
dil jhūm jāye aisī, bahāroṅ meṅ le chalūṇ
āo huzūr āo …