Kisee kee shaam-e-saadgee sahar kaa rang paa gaee

किसी की शाम-ए-सादगी सहर का रंग पा गई
Year
Language

किसी की शाम-ए-सादगी सहर का रंग पा गई
सबा के पाँव थक गये मगर बहार आ गई

चमन की जश्न-गाह में उदासियाँ भी कम न थीं
जली जो कोई शम्म-ए-गुल कली का दिल बुझा गई

बुतान-ए-रंग-रंग से भरे थे बुतकदे मगर
तेरी अदा-ए-सादगी मेरी नज़र को भा गई

मेरी निगाह-ए-तिश्ना-लब की सर-ख़ुशी न पूछिये
के जब उठी निगाह-ए-नाज़ पी गई पिला गई

ख़िज़ा का दौर है मगर वो इस अदा से आये हैं
बहार 'दर्शन्'-ए-हज़ीं की ज़िंदगी पे छा गई

kisī kī śhām-e-sādgī sahar kā raṅg pā gaī
sabā ke pāṇv thak gaye magar bahār ā gaī

chaman kī jaśhn-gāh meṅ udāsiyāṇ bhī kam na thīṅ
jalī jo koī śhamm-e-gul kalī kā dil bujhā gaī

butān-e-raṅg-raṅg se bhare the butakde magar
terī adā-e-sādgī merī nazar ko bhā gaī

merī nigāh-e-tiśhnā-lab kī sar-khuśhī na pūchhiye
ke jab uṭhī nigāh-e-nāz pī gaī pilā gaī

khizā kā daur hai magar vo is adā se āye haiṅ
bahār 'darśhan'-e-hazīṅ kī ziṅdgī pe chhā gaī