Khulee jo aankh to vo thaa na vo zamaanaa thaa

खुली जो आँख तो वो था न वो ज़माना था
Year
Language

खुली जो आँख तो वो था न वो ज़माना था
दहकती आग थी तन्हाई थी फ़साना था

ग़मों ने बाँट लिया है मुझे यूँ आपस में
कि जैसे मैं कोई लूटा हुआ ख़ज़ाना था

जुदा है शाख़ से गुल-रुत से आशियाने से
कली का जुर्म घड़ी भर का मुस्कुराना था

ये क्‌या कि चन्द ही क़दमों में थक के बैठ गये
तुम्हें तो साथ मेरा दूर तक निभाना था

मुझे जो मेरे लहू में डबो के गुज़रा है
वो कोई ग़ैर नहीं यार एक पुराना था

ख़ुद अपने हाथ से 'शहज़ाद्' उसको काट दिया
कि जिस दरख़्त की टहनी पे आशियाना था

khulī jo āṇkh to vo thā na vo zamānā thā
dahaktī āg thī tanhāī thī fasānā thā

ġhamoṅ ne bāṇṭ liyā hai mujhe yūṇ āpas meṅ
ki jaise maiṅ koī lūṭā huā khazānā thā

judā hai śhākh se gul-rut se āśhiyāne se
kalī kā jurm ghaṛī bhar kā muskurānā thā

ye k‌yā ki chand hī qadmoṅ meṅ thak ke baiṭh gaye
tumheṅ to sāth merā dūr tak nibhānā thā

mujhe jo mere lahū meṅ ḍabo ke guzrā hai
vo koī ġhair nahīṅ yār ek purānā thā

khud apne hāth se 'śhahazād' usko kāṭ diyā
ki jis darakht kī ṭahnī pe āśhiyānā thā