खुदा भी आसमाँ से जब ज़मीं पर देखता होगा
खुदा भी आसमाँ से जब ज़मीं पर देखता होगा
मेरे महबूब को किसने बनाया सोचता होगा
खुदा भी …
मुसव्विर खुद परेशां है के ये तस्वीर किसकी है
बनोगी जिसकी तुम ऐसी हसीं तक़दीर किसकी है
कभी वो जल रहा होगा, कभी खुश हो रहा होगा
खुदा भी …
ज़माने भर की मस्ती को निगाहों में समेटा है
कली से जिस्म को कितने बहारों ने लपेटा है
नहीं तुम सा कोई पहले न कोई दूसरा होगा
ख़ुदा भी …
फ़रिश्ते भी यहाँ रातों को आकर घूमते होंगे
जहाँ रखती हो तुम पाँव, जगह वो चूमते होंगे
किसीके दिल पे क्या गुज़री, ये वो ही जानता होगा
खुदा भी …
khudā bhī āsmāṇ se jab zamīṅ par dekhtā hogā
mere mahbūb ko kisne banāyā sochtā hogā
khudā bhī …
musavvir khud pareśhāṅ hai ke ye tasvīr kiskī hai
banogī jiskī tum aisī hasīṅ taqdīr kiskī hai
kabhī vo jal rahā hogā, kabhī khuśh ho rahā hogā
khudā bhī …
zamāne bhar kī mastī ko nigāhoṅ meṅ sameṭā hai
kalī se jism ko kitne bahāroṅ ne lapeṭā hai
nahīṅ tum sā koī pahle na koī dūsrā hogā
khudā bhī …
fariśhte bhī yahāṇ rātoṅ ko ākar ghūmte hoṅge
jahāṇ rakhtī ho tum pāṇv, jagah vo chūmte hoṅge
kisīke dil pe kyā guzrī, ye vo hī jāntā hogā
khudā bhī …