खाली है अभी जाम मैं कुछ सोच रहा हूँ
खाली है अभी जाम मैं कुछ सोच रहा हूँ
ऐ गर्दिश-ए-अय्याम मैं कुछ सोच रहा हूँ
साक़ी तुझे एक थोड़ी सी तकलीफ़ तो होगी
साग़र को ज़रा थाम मैं कुछ सोच रहा हूँ
पहले बड़ी रगबत थी तेरे नाम से मुझको
अब सुनके तेरा नाम मैं कुछ सोच रहा हूँ
फिर आज 'अदम्' शाम से ग़मग़ीं है तबीयत
फिर आज सर-ए-शाम मैं कुछ सोच रहा हूँ
khālī hai abhī jām maiṅ kuchh soch rahā hūṇ
ai gardiśh-e-ayyām maiṅ kuchh soch rahā hūṇ
sāqī tujhe ek thoṛī sī taklīf to hogī
sāġhar ko zarā thām maiṅ kuchh soch rahā hūṇ
pahle baṛī ragabat thī tere nām se mujhko
ab sunke terā nām maiṅ kuchh soch rahā hūṇ
phir āj 'adam' śhām se ġhamaġhīṅ hai tabīyat
phir āj sar-e-śhām maiṅ kuchh soch rahā hūṇ