खा कर ज़ख़्म दुआ दी हमने
बस यूँ उम्र बिता दी हमने
रात कुछ ऐसे दिल दुखता था
जैसे आस बुझा दी हमने
सन्नाटे के शहर में तुझको
बे-आवाज़ सदा दी हमने
होश जिसे कहती है दुनिया
वो दीवार गिरा दी हमने
याद को तेरी टूट के चाहा
दिल को ख़ूब सज़ा दी हमने
आ 'शह्ज़ाद्' तुझे समझायें
क्यूँ कर उम्र गँवा दी हमने
khā kar zakhm duā dī hamne
bas yūṇ umr bitā dī hamne
rāt kuchh aise dil dukhtā thā
jaise ās bujhā dī hamne
sannāṭe ke śhahar meṅ tujhko
be-āvāz sadā dī hamne
hośh jise kahtī hai duniyā
vo dīvār girā dī hamne
yād ko terī ṭūṭ ke chāhā
dil ko khūb sazā dī hamne
ā 'śhahzād' tujhe samjhāyeṅ
kyūṇ kar umr gṇvā dī hamne