Kaun kiske haath aayaa aur khilaunaa ho gayaa

कौन किसके हाथ आया और खिलौना हो गया
Year
Language

कौन किसके हाथ आया और खिलौना हो गया
छोड़िये इस बात को जो भी था होना हो गया

उसके कूचे की ज़मीं जिस रोज़ मैंने ओढ़ ली
आसमां उस रोज़ से मेरा बिछौना हो गया

देख लूँ तो देर तक लेती है चटखारे नज़र
जायक़ा अब उसके चेहरे का सलोना हो गया

मेरी क़ीमत सिर्फ़ पीतल के बराबर थी 'क़तील्'
छू के पारस-बदन को मैं तो सोना हो गया

kaun kiske hāth āyā aur khilaunā ho gayā
chhoṛiye is bāt ko jo bhī thā honā ho gayā

uske kūche kī zamīṅ jis roz maiṅne oṛh lī
āsmāṅ us roz se merā bichhaunā ho gayā

dekh lūṇ to der tak letī hai chaṭkhāre nazar
jāyaqā ab uske chehre kā salonā ho gayā

merī qīmat sirf pītal ke barābar thī 'qatīl'
chhū ke pāras-badan ko maiṅ to sonā ho gayā