pyār dīvānā hotā hai, mastānā hotā hai
har khuśhī se, har ġham se, begānā hotā hai
pyār dīvānā…
(śhamā kahe parvāne se, pare chalā jā
merī tarah jal jāyegā, yahāṇ nahīṅ ā ) - (2)
vo nahīṅ suntā usko jal jānā hotā hai
har khuśhī se, har ġham se, begānā hotā hai
(rahe koī sau pardoṅ meṅ, ḍare śharam se
nazar ajī lākh churāye, koī sanam se ) - (2)
ā hī jātā hai jispe dil ānā hotā hai
har khuśhī se, har ġham se, begānā hotā hai
(suno kisī śhāyar ne ye, kahā bahut khūb
manā kare duniyā lekin, mere mahbūb ) - (2)
vo chhalak jātā hai jo paimānā hotā hai
har khuśhī se, har ġham se, begānā hotā hai
pyār dīvānā hotā hai, mastānā hotā hai
har khuśhī se, har ġham se, begānā hotā hai