Kar le dil kee baat aaj mauqaa hai

कर ले दिल की बात आज मौक़ा है
Work
Year
Language

मु: ( कर ले दिल की बात ) -2 ( आज मौक़ा है ) -2
ल: ( चल दुनिया के साथ ) -2 ( आज मौक़ा है ) -2

प्यार तेरा धड़कन में रख लूँ मीठा दर्द बना के
अपने घूँघट की बदली में ले जाऊँ तुझे छुपा के
मु: अपने माथे पे लिख लूँ तुझको तक़दीर बना के
तेरी दुनिया में खो जाऊँ अपना आप भुला के
( नाचूँ तेरे साथ ) -2 ( आज मौक़ा है ) -2
ल: ( चल दुनिया के …

मु: पतली-पतली क़मर ये तेरी लचक गई बल खा के
लुट गया इक परदेसी गोरी तेरी गली में आ के
ल: जितने भी अरमाँ हैं मेरे सब के गीत बना दे
सब रंग फीके पड़ जाएँ तू ऐसा रंग जमा दे
अरे ( कर दे सबको मात ) -2 ( आज मौक़ा है ) -2
मु: कर ले दिल की …

झुक-झुक लम्बे हो गए तेरी पलकों के ये साए
माँग ये तेरी ज़ुल्फ़ों की कुछ कहने से शरमाए
ल: अपने मुँह से कैसे कह दूँ तुझको ही मन चाहे
मेरे दिल की बात शरम से होंठों पे रुक जाए
अरे ( सब कुछ तेरे हाथ ) -2 ( आज मौक़ा है ) -2
मु: कर ले दिल की …
ल: चल दुनिया के …

mu: ( kar le dil kī bāt ) -2 ( āj mauqā hai ) -2
la: ( chal duniyā ke sāth ) -2 ( āj mauqā hai ) -2

pyār terā dhaṛkan meṅ rakh lūṇ mīṭhā dard banā ke
apne ghūṇghaṭ kī badlī meṅ le jāūṇ tujhe chhupā ke
mu: apne māthe pe likh lūṇ tujhko taqdīr banā ke
terī duniyā meṅ kho jāūṇ apnā āp bhulā ke
( nāchūṇ tere sāth ) -2 ( āj mauqā hai ) -2
la: ( chal duniyā ke …

mu: patlī-patlī qamar ye terī lachak gaī bal khā ke
luṭ gayā ik pardesī gorī terī galī meṅ ā ke
la: jitne bhī armāṇ haiṅ mere sab ke gīt banā de
sab raṅg phīke paṛ jāeṇ tū aisā raṅg jamā de
are ( kar de sabko māt ) -2 ( āj mauqā hai ) -2
mu: kar le dil kī …

jhuk-jhuk lambe ho gae terī palkoṅ ke ye sāe
māṇg ye terī zulfoṅ kī kuchh kahne se śharmāe
la: apne muṇh se kaise kah dūṇ tujhko hī man chāhe
mere dil kī bāt śharam se hoṅṭhoṅ pe ruk jāe
are ( sab kuchh tere hāth ) -2 ( āj mauqā hai ) -2
mu: kar le dil kī …
la: chal duniyā ke …