Kal raat bazam men jo milaa gulabdan saa thaa

कल रात बज़्म में जो मिला गुलबदन सा था
Year
Language

कल रात बज़्म में जो मिला गुलबदन सा था
ख़ुश्बू से उसके लफ़्ज़ थे चेहरा चमन सा था

देखा उसे तो बोल पड़े उसके ख़त्ब-ओ-खाल
पूछा उसे तो चुप सा रहा कम-सुखन सा था

तन्हाइयों की रुत में भी लगता था मुतमइन
वो शख़्स अपनी ज़ात में इक अंजुमन सा था

वो सादगी पहन के भी दिल में उतर गया
उसकी हर इक अदा में अजब भोल पन सा था

kal rāt bazam meṅ jo milā gulabdan sā thā
khuśhbū se uske lafz the chehrā chaman sā thā

dekhā use to bol paṛe uske khatb-o-khāl
pūchhā use to chup sā rahā kam-sukhan sā thā

tanhāiyoṅ kī rut meṅ bhī lagtā thā mutamain
vo śhakhs apnī zāt meṅ ik aṅjuman sā thā

vo sādgī pahan ke bhī dil meṅ utar gayā
uskī har ik adā meṅ ajab bhol pan sā thā