कल चौदहवीं की रात थी, शब भर रहा चर्चा तेरा
कल चौदहवीं की रात थी
शब भर रहा चर्चा तेरा
कुछ ने कहा ये चाँद है
कुछ ने कहा चेहरा तेरा
1) हम भी वहीं मौजूद थे
हम से भी सब पूछा कि ये
हम हंस दिये हम चुप रहे
मंज़ूर था परदा तेरा, कल …
2) इस शहर में किस से मिलें
हम से तो छूटी महफ़िलें
हर शख्स तेरा नाम ले
हर शख्स दीवाना तेरा, कल …
3) कूचे को तेरे छोड़कर
जोगी ही बन जाएं मगर
जंगल तेरे पर्वत तेरे
बस्ती तेरी सेहरा तेरा, कल …
4) बेदर्द तुम ही हो तो चल
कहता है क्या अच्छी गज़ल
आशिक़ तेरा रुसवा तेरा
शायर तेरा इन्शा तेरा, कल …
kal chaudahvīṅ kī rāt thī
śhab bhar rahā charchā terā
kuchh ne kahā ye chāṇd hai
kuchh ne kahā chehrā terā
1) ham bhī vahīṅ maujūd the
ham se bhī sab pūchhā ki ye
ham haṅs diye ham chup rahe
maṅzūr thā pardā terā, kal …
2) is śhahar meṅ kis se mileṅ
ham se to chhūṭī mahafileṅ
har śhakhs terā nām le
har śhakhs dīvānā terā, kal …
3) kūche ko tere chhoṛkar
jogī hī ban jāeṅ magar
jaṅgal tere parvat tere
bastī terī sehrā terā, kal …
4) bedard tum hī ho to chal
kahtā hai kyā achchhī gazal
āśhiq terā rusvā terā
śhāyar terā inśhā terā, kal …