कैसे कैसे लोग हमारे जी को जलाने आ जाते हैं
कैसे कैसे लोग हमारे जी को जलाने आ जाते हैं
अपने अपने ग़म के फ़साने हमें सुनाने आ जाते हैं
मेरे लिये ये ग़ैर हैं और मैं इनके लिये बेगाना हूँ
फिर भी ये एक रस्म-ए-जहाँ है जिसे निभाने आ जाते हैं
इनसे अलग मैं रह नहीं सकता इस बेदर्द ज़माने में
मेरी ये मजबुरी मुझको याद दिलाने आ जाते हैं
सबकी सुन कर चुप रहते हैं दिल की बात नहीं कहते
आते आते जीने के भी लाख बहाने आ जाते हैं
kaise kaise log hamāre jī ko jalāne ā jāte haiṅ
apne apne ġham ke fasāne hameṅ sunāne ā jāte haiṅ
mere liye ye ġhair haiṅ aur maiṅ inke liye begānā hūṇ
phir bhī ye ek rasm-e-jahāṇ hai jise nibhāne ā jāte haiṅ
inse alag maiṅ rah nahīṅ saktā is bedard zamāne meṅ
merī ye majburī mujhko yād dilāne ā jāte haiṅ
sabkī sun kar chup rahte haiṅ dil kī bāt nahīṅ kahte
āte āte jīne ke bhī lākh bahāne ā jāte haiṅ