Kahte hain mujhse ishq kaa afsaanaa chaahiye

कहते हैं मुझसे इश्क़ का अफ़साना चाहिये
Year
Language

कहते हैं मुझसे इश्क़ का अफ़साना चाहिये
रुस्वाई हो गई तुम्हें शर्माना चाहिये

ख़ुद्दार इतनी फ़ितरत-ए-रिंदाना चाहिये
साक़ी ये ख़ुद कहे तुझे पैमाना चाहिये

आशिक़ बग़ैर हुस्न-ओ-जवानी फ़ुज़ूल है
जब शम्मा जल गई है तो परवाना चाहिये

आँखों में दम रुका है किसी के लिये ज़ुरूर
वरना मरीज़-ए-हिज्र को मर जाना चाहिये

वादा था उनके रात के आने का ऐ 'क़मर्'
अब चाँद छुप गया उन्हें आ जाना चाहिये

kahte haiṅ mujhse iśhq kā afsānā chāhiye
rusvāī ho gaī tumheṅ śharmānā chāhiye

khuddār itnī fitarat-e-riṅdānā chāhiye
sāqī ye khud kahe tujhe paimānā chāhiye

āśhiq baġhair husn-o-javānī fuzūl hai
jab śhammā jal gaī hai to parvānā chāhiye

āṇkhoṅ meṅ dam rukā hai kisī ke liye zurūr
varnā marīz-e-hijr ko mar jānā chāhiye

vādā thā unke rāt ke āne kā ai 'qamar'
ab chāṇd chhup gayā unheṅ ā jānā chāhiye