Kahaan aa ke rukne the raaste kahaan mor thaa use bhool jaa

कहाँ आ के रुकने थे रास्ते कहाँ मोड़ था उसे भूल जा
Year
Language

कहाँ आ के रुकने थे रास्ते कहाँ मोड़ था उसे भूल जा
वो जो मिल गया उसे याद रख जो नहीं मिला उसे भूल जा

वो तेरे नसीब की बारिशें किसी और छत पे बरस गई
दिल-ए-बेख़बर मेरी बात सुन उसे भूल जा उसे भूल जा

मैं तो ग़ुम था तेरे ही ध्यान में, तेरी आस तेरे ग़ुमान में
हवा कह गई मेरे कान में, मेरे साथ आ उसे भूल जा

तुझे चाँद बन के मिला था जो तेरे साहिलों पे खिला था वो
वो था एक दरिया विसाल का वो उतर गया उसे भूल जा

kahāṇ ā ke rukne the rāste kahāṇ moṛ thā use bhūl jā
vo jo mil gayā use yād rakh jo nahīṅ milā use bhūl jā

vo tere nasīb kī bāriśheṅ kisī aur chhat pe baras gaī
dil-e-bekhbar merī bāt sun use bhūl jā use bhūl jā

maiṅ to ġhum thā tere hī dhyān meṅ, terī ās tere ġhumān meṅ
havā kah gaī mere kān meṅ, mere sāth ā use bhūl jā

tujhe chāṇd ban ke milā thā jo tere sāhiloṅ pe khilā thā vo
vo thā ek dariyā visāl kā vo utar gayā use bhūl jā