Kah do is raat se ke ruk jaaye

कह दो इस रात से के रुक जाये
Year
Language

कह दो इस रात से के रुक जाये दर्द-ए-दिल मिन्नतों से सोया है
ये वोही दर्द है जिसे लेकर लैला तड़पी थी मजनू रोया है

मैं भी इस दर्द की पुजारन हूँ ये न मिलता तो कब की मर जाती
इसके एक एक हसीन मोती को रात दिन पलकों में पिरोया है

ये वोही दर्द है जिसे ग़ालिब जज़्ब करते थे अपनी ग़ज़लों में
मीर ने जबसे इसको अपनाया दामन-ए-ज़ीस्त को भिगोया है

kah do is rāt se ke ruk jāye dard-e-dil minntoṅ se soyā hai
ye vohī dard hai jise lekar lailā taṛpī thī majnū royā hai

maiṅ bhī is dard kī pujāran hūṇ ye na miltā to kab kī mar jātī
iske ek ek hasīn motī ko rāt din palkoṅ meṅ piroyā hai

ye vohī dard hai jise ġhālib jazab karte the apnī ġhazloṅ meṅ
mīr ne jabse isko apnāyā dāman-e-zīst ko bhigoyā hai