maiṅ har ik pal kā śhāyar hūṇ
har ik pal merī kahānī hai
har ik pal merī hastī hai
har ik pal merī javānī hai
maiṅ har ik pal kā śhāyar hūṇ
riśhtoṅ kā rūp badaltā hai, buniyādeṅ khatm nahīṅ hotīṅ
khvāboṅ aur umṇgoṅ kī miyādeṅ khatm nahīṅ hotīṅ
ik phūl meṅ terā rūp basā, ik phūl meṅ merī javānī hai
ik chehrā terī niśhānī hai, ik chehrā merī niśhānī hai
maiṅ har ik …
tujhko mujhko jīvan amrit ab in hāthoṅ se pīnā hai
inkī dhaṛkan meṅ basnā hai, inkī sāṇsoṅ meṅ jīnā hai
tū apnī adāeṅ bakśha inheṅ, maiṅ apnī vafāeṅ detā hūṇ
jo apne lie sochīṅ thī kabhī, vo sārī duāeṅ detā hūṇ
maiṅ har ik …