कभी तो महरबाँ हो कर बुला लें
कभी तो महरबाँ हो कर बुला लें
ये महवश हम फ़रिक़ों की दुआ लें
न जाने फिर ये रुत आये न आये
जवाँ फूलों की कुछ ख़ुश्बू चुरा लें
हमारी भी सम्भल जायेगी हालत
वो पहले अपनी ज़ुल्फ़ें तो सम्भालें
निकलने को है वो महताब घर से
सितारों से कहो नज़रें झुका लें
ज़माना तो यूँही रूठा रहेगा
चलो 'जालिब्' उन्हें चल कर मना लें
kabhī to maharbāṇ ho kar bulā leṅ
ye mahvaśh ham fariqoṅ kī duā leṅ
na jāne phir ye rut āye na āye
javāṇ phūloṅ kī kuchh khuśhbū churā leṅ
hamārī bhī sambhal jāyegī hālat
vo pahle apnī zulfeṅ to sambhāleṅ
nikalne ko hai vo mahtāb ghar se
sitāroṅ se kaho nazreṅ jhukā leṅ
zamānā to yūṇhī rūṭhā rahegā
chalo 'jālib' unheṅ chal kar manā leṅ