कभी कहा न किसी से तेरे फ़साने को
कभी कहा न किसी से तेरे फ़साने को
न जाने कैसे ख़बर हो गई ज़माने को
सुना है ग़ैर की महफ़िल में तुम न जाओगे
कहो तो आज सजा लूँ गरीबखाने को
दुआ बहार की मांगी तो इतने फूल खिले
कहीं जगह न मिली मेरे आशियाने को
अब आगे इस में तुमहारा भी नाम आए गा
जो हुकम हो तो यहीं छोड़ दूं फ़साने को
'क़मर्' ज़रा भी नहीं तुम को ख़ौफ़-ए-रुसवाई
चले हो चांदनी शब में उन्हें बुलाने को
kabhī kahā na kisī se tere fasāne ko
na jāne kaise khabar ho gaī zamāne ko
sunā hai ġhair kī mahafil meṅ tum na jāoge
kaho to āj sajā lūṇ garībkhāne ko
duā bahār kī māṅgī to itne phūl khile
kahīṅ jagah na milī mere āśhiyāne ko
ab āge is meṅ tumhārā bhī nām āe gā
jo hukam ho to yahīṅ chhoṛ dūṅ fasāne ko
'qamar' zarā bhī nahīṅ tum ko khauf-e-rusvāī
chale ho chāṅdnī śhab meṅ unheṅ bulāne ko