कभी कभी यूँही हमने अपने जी को बहलाया है
कभी कभी यूँही हमने अपने जी को बहलाया है
जिन बातों को खुद नहीं समझे, औरों को समझाया है
हमसे पूछो इज़्ज़त वालों की इज़्ज़त का हाल कभी
हमने भी इस शहर में रहकर थोड़ा नाम कमाया है
उससे बिछड़े बरसों बीते, लेकिन आज न जाने क्यों
आँगन में हँसते बच्चों को बे-कारण धमकाया है
कोई मिला तो हाथ मिलाया, कहीं गए तो बातें की
घर से बाहर जब भी निकले, दिन भर बोझ उठाया है
kabhī kabhī yūṇhī hamne apne jī ko bahlāyā hai
jin bātoṅ ko khud nahīṅ samjhe, auroṅ ko samjhāyā hai
hamse pūchho izazat vāloṅ kī izazat kā hāl kabhī
hamne bhī is śhahar meṅ rahkar thoṛā nām kamāyā hai
usse bichhaṛe barsoṅ bīte, lekin āj na jāne kyoṅ
āṇgan meṅ hṇste bachchoṅ ko be-kāraṇ dhamkāyā hai
koī milā to hāth milāyā, kahīṅ gae to bāteṅ kī
ghar se bāhar jab bhī nikle, din bhar bojh uṭhāyā hai