Kab tak dil kee khair manaayen

कब तक दिल की ख़ैर मनायें
Year
Language

कब तक दिल की ख़ैर मनायें कब तक रह दिखलाओगे
कब तक चैन की मोहलत दोगे कब तक याद न आओगे

बीता दर्द उम्मीद का मौसम ख़ाक़ उड़ाती आँखों में
कब भेजोगे दर्द का बादल कब बरखा बरसाओगे

अहद-ए-वफ़ा और तर्क़-ए-मुहब्बत जो चाहो सो आप करो
अपने बस की बात ही क्‌या है हमसे क्‌या मनवाओगे

किसने वस्ल का सूरज देखा किस पर हिज्र की रात ढली
ग़ेसुओं वाले कौन थे क्‌या थे उनको क्‌या जतलाओगे

'फ़ैज़्' दिलों के भाग में है घर बसना भी लुट जाना भी
तुम उस हुस्न के लुत्फ़-ओ-करम पर कितने दिन इतराओगे

kab tak dil kī khair manāyeṅ kab tak rah dikhlāoge
kab tak chain kī mohlat doge kab tak yād na āoge

bītā dard ummīd kā mausam khāq uṛātī āṇkhoṅ meṅ
kab bhejoge dard kā bādal kab barkhā barsāoge

ahad-e-vafā aur tarq-e-muhabbat jo chāho so āp karo
apne bas kī bāt hī k‌yā hai hamse k‌yā manvāoge

kisne vasl kā sūraj dekhā kis par hijr kī rāt ḍhalī
ġhesuoṅ vāle kaun the k‌yā the unko k‌yā jatlāoge

'faiz' diloṅ ke bhāg meṅ hai ghar basnā bhī luṭ jānā bhī
tum us husn ke lutf-o-karam par kitne din itrāoge