कब कोई तुझसा आईना और याँ है दूसरा
कब कोई तुझसा आईना और याँ है दूसरा
है तो तेरा ही अक्स नुमाया है दूसरा
रुख़ इसका देखियो शब-ए-महताब में कोई
गोया ज़मीं पे माह-ए-ताबाँ है दूसरा
तेरे खराम-ए-नाज़ के सदके कि कब कोई
ऐसा चमन में सर्व-ए-खरामा है दूसरा
शक़्ल उनकी ये है जो कि है महव-ए-जमाल-ए-यार
शशदर खड़ा है एक तो हैराँ है दूसरा
kab koī tujhsā āīnā aur yāṇ hai dūsrā
hai to terā hī aksa numāyā hai dūsrā
rukh iskā dekhiyo śhab-e-mahtāb meṅ koī
goyā zamīṅ pe māh-e-tābāṇ hai dūsrā
tere kharām-e-nāz ke sadke ki kab koī
aisā chaman meṅ sarv-e-kharāmā hai dūsrā
śhaql unkī ye hai jo ki hai mahav-e-jamāl-e-yār
śhaśhdar khaṛā hai ek to hairāṇ hai dūsrā