Kaatir se yaa lihaaz se main maan to gayaa

कातिर से या लिहाज़ से मैं मान तो गया
Year
Language

ख़ातिर से या लिहाज़ से मैं मान तो गया
झूठी क़सम से आपका ईमान तो गया

दिल ले के मुफ़्त कहते हैं कुछ काम का नहीं
उल्टी शिक़ायतें रहीं एहसान तो गया

अफ़्शा-ए-राज़-ए-इश्क़ में गो जिल्लतें हुईं
लेकिन उसे जता तो दिया जान तो गया

होश-ओ-हवास-ओ-ताब-ओ-तवाँ 'दाग़्' जा चुके
अब हम भी जाने वाले हैं सामान तो गया

डरता हूँ देख कर दिल-ए-बेआरज़ू को मैं
सुनसान घर ये क्‌यूँ न हो मेहमान तो गया

क्‌या आई राहत आई जो कुंज-ए-मज़ार में
वो वलवला वो शौक़ वो अरमान तो गया

देखा है बुतकदे में जो ऐ शेख कुछ न पूछ
ईमान की तो ये है कि ईमान तो गया

गो नामाबर से कुछ न हुआ पर हज़ार शुक्‌र
मुझको वो मेरे नाम से पहचान तो गया

बज़्म-ए-उदू में सूरत-ए-परवाना मेरा दिल
गो रश्क़ से जला तेरे क़ुर्बान तो गया

khātir se yā lihāz se maiṅ mān to gayā
jhūṭhī qasam se āpkā īmān to gayā

dil le ke muft kahte haiṅ kuchh kām kā nahīṅ
ulṭī śhiqāyteṅ rahīṅ ehsān to gayā

afśhā-e-rāz-e-iśhq meṅ go jillteṅ huīṅ
lekin use jatā to diyā jān to gayā

hośh-o-havās-o-tāb-o-tavāṇ 'dāġh' jā chuke
ab ham bhī jāne vāle haiṅ sāmān to gayā

ḍartā hūṇ dekh kar dil-e-beārazū ko maiṅ
sunsān ghar ye k‌yūṇ na ho mehmān to gayā

k‌yā āī rāhat āī jo kuṅj-e-mazār meṅ
vo valavlā vo śhauq vo armān to gayā

dekhā hai butakde meṅ jo ai śhekh kuchh na pūchh
īmān kī to ye hai ki īmān to gayā

go nāmābar se kuchh na huā par hazār śhuk‌ra
mujhko vo mere nām se pahchān to gayā

bazam-e-udū meṅ sūrat-e-parvānā merā dil
go raśhq se jalā tere qurbān to gayā