Kaab bikhre hain suhaane k‌yaa k‌yaa

काब बिखरे हैं सुहाने क्‌या क्‌या
Year
Language

ख़ाब बिखरे हैं सुहाने क्‌या क्‌या
लुट गये अपने ख़ज़ाने क्‌या क्‌या

मुड़ के देखा ही था माज़ी की तरफ़
आ मिले यार पुराने क्‌या क्‌या

आज देखी है जो तस्वीर तेरी
याद आया है न जाने क्‌या क्‌या

सिर्फ़ इक तर्क-ए-तअल्लुक़ के लिये
तूने ढूँढे हैं बहाने क्‌या क्‌या

रात सहरा की रिदा पर 'मोहसिन्'
हर्फ़ लिक्‌खे थे हवा ने क्‌या क्‌या

khāb bikhre haiṅ suhāne k‌yā k‌yā
luṭ gaye apne khazāne k‌yā k‌yā

muṛ ke dekhā hī thā māzī kī taraf
ā mile yār purāne k‌yā k‌yā

āj dekhī hai jo tasvīr terī
yād āyā hai na jāne k‌yā k‌yā

sirf ik tark-e-taalluq ke liye
tūne ḍhūṇḍhe haiṅ bahāne k‌yā k‌yā

rāt sahrā kī ridā par 'mohsin'
harf lik‌khe the havā ne k‌yā k‌yā