Jise meree yaad naa aaye, haay, dil naa use bhulaaye

जिसे मेरी याद ना आये, हाय, दिल ना उसे भुलाये
Year
Language

( जिसे मेरी याद ना आये,
हाय, दिल ना उसे भुलाये ) -2

बीते हुये सपने -2
हमें तो सारी रात जगायें
हाय, दिल ना उसे भुलाये
जिसे मेरी याद ना आये,
हाय

जिसने मेरे गीत थे गाये
राग मेरे
राग मेरे कभी जिसके मन भाये
जिसने मेरे गीत थे गाये
राग मेरे कभी जिसके मन भाये
वोही हमारे मीठे सुरों को
सूना राग बताये बताये बताये
दिल ना उसे भुलाये
जिसे मेरी याद ना आये,
हाय

बिरहा के आँसू से नैना
नैना थे अनजान
वो गये दिल उलझ गया, हाय
होंठों ने भी खो दिया मुसकान
( ले जो गये सुख सारे
अब भी हैं वो प्यारे ) -2
मैं हूँ उसको फूल कहता
जो मेरे लिये काँटे बिछये
मेरे लिये काँटे बिछये
दिल ना उसे भुलाये
जिसे मेरी याद ना आये,
हाय, दिल ना उसे भुलाये

( jise merī yād nā āye,
hāy, dil nā use bhulāye ) -2

bīte huye sapne -2
hameṅ to sārī rāt jagāyeṅ
hāy, dil nā use bhulāye
jise merī yād nā āye,
hāy

jisne mere gīt the gāye
rāg mere
rāg mere kabhī jiske man bhāye
jisne mere gīt the gāye
rāg mere kabhī jiske man bhāye
vohī hamāre mīṭhe suroṅ ko
sūnā rāg batāye batāye batāye
dil nā use bhulāye
jise merī yād nā āye,
hāy

birhā ke āṇsū se nainā
nainā the anjān
vo gaye dil ulajh gayā, hāy
hoṅṭhoṅ ne bhī kho diyā muskān
( le jo gaye sukh sāre
ab bhī haiṅ vo pyāre ) -2
maiṅ hūṇ usko phūl kahtā
jo mere liye kāṇṭe bichhye
mere liye kāṇṭe bichhye
dil nā use bhulāye
jise merī yād nā āye,
hāy, dil nā use bhulāye