जिस जगह रहिये जहाँ भी जाइये
जिस जगह रहिये जहाँ भी जाइये
सच्चे लफ़्ज़ों की महक फैलाइये
ज़िंदगी के लाला-ज़ारों में कहीं
धूप हो तो अब्र बन के छाइये
चाँद भी अच्छा है सूरज भी मगर
आप रस्ते का दिया बन जाइये
लोग तो सदियों को अपना कर गये
कोई लम्हा आप भी अपनाइये
आपके घर रोशनी के नाम का
एक जुगनू ही सही चमकाइये
jis jagah rahiye jahāṇ bhī jāiye
sachche lafzoṅ kī mahak phailāiye
ziṅdgī ke lālā-zāroṅ meṅ kahīṅ
dhūp ho to abr ban ke chhāiye
chāṇd bhī achchhā hai sūraj bhī magar
āp raste kā diyā ban jāiye
log to sadiyoṅ ko apnā kar gaye
koī lamhā āp bhī apnāiye
āpke ghar rośhnī ke nām kā
ek jugnū hī sahī chamkāiye