जिंदगी का सफर, है ये कैसा सफर
जिन्दगी का सफ़र, है ये कैसा सफ़र
कोई समझा नहीं, कोई जाना नहीं
है ये कैसी डगर, चलते हैं सब मगर
कोई समझा नहीं, कोई जाना नहीं
जिन्दगी को बहोत प्यार हम ने किया
मौत से भी मोहब्बत निभायेंगे हम
रोते रोते जमाने में आये मगर
हंसते हंसते जमाने से जायेंगे हम
जायेंगे पर किधर, है किसे ये खबर
कोई समझा नहीं, कोई जाना नहीं
ऐसे जीवन भी हैं जो जिए ही नहीं
जिनको जीने से पहले ही मौत आ गयी
फूल ऐसे भी हैं जो खिले ही नहीं
जिनको खिलने से पहले खिजा खा गयी
है परेशान नजर, थक गए चारागर
कोई समझा नहीं, कोई जाना नहीं
jindgī kā safar, hai ye kaisā safar
koī samjhā nahīṅ, koī jānā nahīṅ
hai ye kaisī ḍagar, chalte haiṅ sab magar
koī samjhā nahīṅ, koī jānā nahīṅ
jindgī ko bahot pyār ham ne kiyā
maut se bhī mohabbat nibhāyeṅge ham
rote rote jamāne meṅ āye magar
haṅste haṅste jamāne se jāyeṅge ham
jāyeṅge par kidhar, hai kise ye khabar
koī samjhā nahīṅ, koī jānā nahīṅ
aise jīvan bhī haiṅ jo jie hī nahīṅ
jinko jīne se pahle hī maut ā gayī
phūl aise bhī haiṅ jo khile hī nahīṅ
jinko khilne se pahle khijā khā gayī
hai pareśhān najar, thak gae chārāgar
koī samjhā nahīṅ, koī jānā nahīṅ