Zamaane men ajee aise kaee naadaan hote hain

ज़माने में अजी ऐसे कई नादान होते हैं
Year
Language

ज़माने में अजी ऐसे कई नादान होते हैं
वहाँ ले जाते हैं कश्ती जहाँ तूफ़ान होते हैं

शमा की बज़्म में आ कर के परवाने समझते हैं
यहीं पर उम्र गुज़रेगी यह दीवाने समझते हैं
मगर इक रात के यह तो फ़क़त मेहमान होते हैं
ज़माने में …

मोहब्बत सबकी मह्फ़िल में शमा बन कर नहीं जलती
हसीनों की नज़र सब पे छुरी बन कर नहीं चलती
जो हैं तक़दीर वाले बस वही क़ुर्बान होते हैं
ज़माने में …

डुबो कर दूर साहिल से नज़ारा देखनेवाले
लगा कर आग चुप के से तमाशा देखनेवाले
तमाशा आप बनते हैं तो क्‌यों हैरान होते हैं
ज़माने मेइं …

zamāne meṅ ajī aise kaī nādān hote haiṅ
vahāṇ le jāte haiṅ kaśhtī jahāṇ tūfān hote haiṅ

śhamā kī bazam meṅ ā kar ke parvāne samajhte haiṅ
yahīṅ par umr guzregī yah dīvāne samajhte haiṅ
magar ik rāt ke yah to faqat mehmān hote haiṅ
zamāne meṅ …

mohabbat sabkī mahfil meṅ śhamā ban kar nahīṅ jaltī
hasīnoṅ kī nazar sab pe chhurī ban kar nahīṅ chaltī
jo haiṅ taqdīr vāle bas vahī qurbān hote haiṅ
zamāne meṅ …

ḍubo kar dūr sāhil se nazārā dekhnevāle
lagā kar āg chup ke se tamāśhā dekhnevāle
tamāśhā āp bante haiṅ to k‌yoṅ hairān hote haiṅ
zamāne meiṅ …