( ye mujhse kahā dil ne chupke se bār-bār
nas-nas meṅ prīt chhāī, maiṅ kyūṇ na karūṇ pyār
unheṅ kyūṇ na karūṇ pyār ) -2
nāzoṅ se pale dil pe kaise sahūṇgī tīr -2
tīroṅ ke zakhm dil meṅ ban jāyeṅge bahār
maiṅ kyūṇ na
kyūṇ na karūṇ pyār
unheṅ kyūṇ na karūṇ pyār
ye mujhse kahā dil ne chupke se bār-bār
nas-nas meṅ prīt chhāī, maiṅ kyūṇ na karūṇ pyār
unheṅ kyūṇ na karūṇ pyār
( ye prem hai jalātā
jalne meṅ mazā ātā ) -2
bas śhamā ke jalne par
parvānā hai nisār
maiṅ kyūṇ na
kyūṇ na karūṇ pyār
unheṅ kyūṇ na karūṇ pyār
ye mujhse kahā dil ne chupke se bār-bār
nas-nas meṅ prīt chhāī, maiṅ kyūṇ na karūṇ pyār
unheṅ kyūṇ na karūṇ pyār
( bedardī kī ṭhokar se kyā terā hāl hogā
kyā terā hāl hogā ) -2
ho jāyegā is dil kā phir darad madadgār -2
phir darad madadgār
maiṅ kyūṇ na
kyūṇ na karūṇ pyār
unheṅ kyūṇ na karūṇ pyār
ye mujhse kahā dil ne chupke se bār-bār
nas-nas meṅ prīt chhāī, maiṅ kyūṇ na karūṇ pyār
unheṅ kyūṇ na karūṇ pyār