lāl chhaṛī maidān khaṛī, kyā khūb laṛī, kyā khūb laṛī
ham dil se gae, ham jāṇ se gae
bas āṇkh milī aur bāt baṛhī
(vo tīkhe tīkhe do nainā, us śhok se āṇkh milānā thā
dede ke qayāmat ko dāvat, ek āfat se ṭakrānā thā ) -2
mat pūchho ham par kyā guzrī,
bijlī sī girī aur dil pe paṛī
ham dil se gae, hāy, ham jāṇ se gae …
(tan tankar zālim ne apnā, har tīr niśhāne par mārā
(hai śhukra kī ab tak ziṅdā hūṇ,
maiṅ dil kā ghāyal bechārā ) -2
use dekhke lāl dupaṭṭe meṅ,
maine nām diyā hai lāl chhaṛī
ham dil se gae, hāy, ham jāṇ se gae …
(ham ko bhī nā jāne kyā sūjhī,
jā pahuṅche uskī ṭolī meṅ
(har bāt meṅ uskī thā vo asar,
jo nahīṅ baṅdūk kī golī meṅ ) -2
ab kyā hogā, ab kyā kīje,
har ek ghaṛī muśhkil kī ghaṛī
ham dil se gae, hāy, ham jāṇ se gae …