Jalvaaghaah-e-dil men marte hee andheraa ho gayaa

जलवाग़ाह-ए-दिल में मरते ही अन्धेरा हो गया
Year
Language

जलवाग़ाह-ए-दिल में मरते ही अन्धेरा हो गया
जिसमें थे जलवे तेरे, वो आइना क्‌या हो गया

फिर तसव्वुर ने बढ़ा दी नाला-ए-मौजों की लय
फिर फ़िज़ा-ए-दर्द में इक शेर पैदा हो गया

बिरहमन कहता था अनहद, शेख़ बोल उठा अहद
नुक़्तारस दोनों न थे, आपस में झगड़ा हो गया

नज्द के हिरणों से ऐजाज़-ए-मुहब्बत पूछिये
पड़ गई जिस पर निगाह-ए-क़ैस लैला हो गया

रफ़्ता-रफ़्ता खो गये गर्दिश में जलवे सैंकड़ों
दिल मेरा सीमाब इक आइना-ख़ाना हो गया

jalvāġhāh-e-dil meṅ marte hī andherā ho gayā
jismeṅ the jalve tere, vo āinā k‌yā ho gayā

phir tasavvur ne baṛhā dī nālā-e-maujoṅ kī lay
phir fizā-e-dard meṅ ik śher paidā ho gayā

birahman kahtā thā anahad, śhekh bol uṭhā ahad
nuqtāras donoṅ na the, āpas meṅ jhagaṛā ho gayā

najd ke hirṇoṅ se aijāz-e-muhabbat pūchhiye
paṛ gaī jis par nigāh-e-qais lailā ho gayā

raftā-raftā kho gaye gardiśh meṅ jalve saiṅkaṛoṅ
dil merā sīmāb ik āinā-khānā ho gayā