जहाँ तेरा नक़्श-ए-क़दम देखते हैं
जहाँ तेरा नक़्श-ए-क़दम देखते हैं
बयावाँ बयावाँ इरम देखते हैं
तेरे सर्व-ए-कामत से इक कद्द-ए-आदम
क़यामत के फ़ित्ने को कम देखते हैं
तमाशा कर ऐ महव-ए-आईना-दारी
तुझे किस तमन्ना से हम देखते हैं
सुराग़-ए-तफ़-ए-नाला-दार दिल से
कि शब-रौ नक़्श-ए-क़दम देखते हैं
बना कर फ़क़ीरों का हम भेस 'ग़ालिब्'
तमाशा-ए-अहल-ए-करम देखते हैं
jahāṇ terā naqśh-e-qadam dekhte haiṅ
bayāvāṇ bayāvāṇ iram dekhte haiṅ
tere sarv-e-kāmat se ik kadd-e-ādam
qayāmat ke fitne ko kam dekhte haiṅ
tamāśhā kar ai mahav-e-āīnā-dārī
tujhe kis tamannā se ham dekhte haiṅ
surāġh-e-taf-e-nālā-dār dil se
ki śhab-rau naqśh-e-qadam dekhte haiṅ
banā kar faqīroṅ kā ham bhes 'ġhālib'
tamāśhā-e-ahal-e-karam dekhte haiṅ