जहाँ तलक भी ये सहरा दिखाई देता है
जहाँ तलक भी ये सहरा दिखाई देता है
मेरी ही तरह से अकेला दिखाई देता है
न इतनी तेज़ चले सरफिरी हवा से कहो
शजर पे एक ही पत्ता दिखाई देता है
ये एक अब्र का टुकड़ा कहाँ कहाँ बरसे
तमाम दश्त ही प्यासा दिखाई देता है
वो अलविदा का मंज़र वो छलकती पलकें
पस-ए-ग़ुबार भी क्या क्या दिखाई देता है
jahāṇ talak bhī ye sahrā dikhāī detā hai
merī hī tarah se akelā dikhāī detā hai
na itnī tez chale sarphirī havā se kaho
śhajar pe ek hī pattā dikhāī detā hai
ye ek abr kā ṭukaṛā kahāṇ kahāṇ barse
tamām daśht hī pyāsā dikhāī detā hai
vo alvidā kā maṅzar vo chhalaktī palkeṅ
pas-e-ġhubār bhī kyā kyā dikhāī detā hai