Jahaan men koee naheen hai apnaa

जहाँ में कोई नहीं है अपना
Year
Language

जहाँ में कोई नहीं है अपना हर एक को ख़ूब आज़्माया
हुई करम की जहां तवक़्क़ो, उसी ने जी खोल कर सताया

किसी की बर्बाद ज़िन्दगी है, किसी को रोना है अपने दिल का
तुम्हीं बता दो बजुज़ ज़ियां के किसी ने क्‌या तुम से मिल के पया

हर एक ज़र्रे से तुम को पूछा, हर एक गोशे में दी सदाएं
पता तो दो कुछ कहाँ छुपे हो कि हर जगह तुम को ढूँढ आया

जो हाँ कहूँ उनपे हर्फ़ आए, नहीं जो कह दूँ तो मैं ही झूटा
सवाल करते हैं वोह मुझी से, के हम ने दिल को तेरे दुखाया

jahāṇ meṅ koī nahīṅ hai apnā har ek ko khūb āzmāyā
huī karam kī jahāṅ tavaqqo, usī ne jī khol kar satāyā

kisī kī barbād zindgī hai, kisī ko ronā hai apne dil kā
tumhīṅ batā do bajuz ziyāṅ ke kisī ne k‌yā tum se mil ke payā

har ek zarre se tum ko pūchhā, har ek gośhe meṅ dī sadāeṅ
patā to do kuchh kahāṇ chhupe ho ki har jagah tum ko ḍhūṇḍh āyā

jo hāṇ kahūṇ unpe harf āe, nahīṅ jo kah dūṇ to maiṅ hī jhūṭā
savāl karte haiṅ voh mujhī se, ke ham ne dil ko tere dukhāyā