Jabse bulbul toone do tinke liye

जबसे बुलबुल तूने दो तिनके लिये
Year
Language

जबसे बुलबुल तूने दो तिनके लिये
टूटती हैं बिजलियाँ इनके लिये

कौन वीराने में देखेगा बहार
फूल जंगल में खिले किनके लिये

सारी दुनिया के हैं वो मेरे सिवा
मैंने दुनिया छोड़ दी जिनके लिये

वस्ल का दिन और इतना मुख़्तसर
दिन गिने जाते थे इस दिन के लिये

बाग़बाँ कलियाँ हों हल्के रंग सी
ये उम्मिदें एक कमसिन के लिये

jabse bulbul tūne do tinke liye
ṭūṭtī haiṅ bijliyāṇ inke liye

kaun vīrāne meṅ dekhegā bahār
phūl jaṅgal meṅ khile kinke liye

sārī duniyā ke haiṅ vo mere sivā
maiṅne duniyā chhoṛ dī jinke liye

vasl kā din aur itnā mukhtasar
din gine jāte the is din ke liye

bāġhbāṇ kaliyāṇ hoṅ halke raṅg sī
ye ummideṅ ek kamsin ke liye