Jab tere nain muskuraate hain

जब तेरे नैन मुस्कुराते हैं
Year
Language

जब तेरे नैन मुस्कुराते हैं
ज़ीस्त के रंज भूल जाते हैं

क्‌यूँ शिकन डालते हो माथे पर
भूल कर आ गए हम जाते हैं

कश्तियाँ यूँ भी डूब जाती हैं
नाख़ुदा किसलिये डराते हैं

इक हसीं आँख के इशारे पर
क़ाफ़िले राह भूल जाते हैं

jab tere nain muskurāte haiṅ
zīst ke raṅj bhūl jāte haiṅ

k‌yūṇ śhikan ḍālte ho māthe par
bhūl kar ā gae ham jāte haiṅ

kaśhtiyāṇ yūṇ bhī ḍūb jātī haiṅ
nākhudā kisliye ḍarāte haiṅ

ik hasīṅ āṇkh ke iśhāre par
qāfile rāh bhūl jāte haiṅ