Jab tasavvur meraa chupke se tujhe chhoo aaye

जब तसव्वुर मेरा चुपके से तुझे छू आये
Year
Language

जब तसव्वुर मेरा चुपके से तुझे छू आये
अपनी हर साँस से मुझको तेरी ख़ुश्बू आये

मशग़ला अब है मेरा चाँद को तकते रहना
रात भर चैन न तुझ बिन किसी पहलू आये

घंटियाँ बजने लगीं हिज्र के सन्नाटे से
गुनगुनाता हुआ ऐसे में अगर तू आये

जब कभी गर्दिश-ए-दौराँ ने सताया मुझको
मेरी जानिब तेरे फैले हुये बाज़ू आये

jab tasavvur merā chupke se tujhe chhū āye
apnī har sāṇs se mujhko terī khuśhbū āye

maśhaġhlā ab hai merā chāṇd ko takte rahnā
rāt bhar chain na tujh bin kisī pahlū āye

ghaṅṭiyāṇ bajne lagīṅ hijr ke sannāṭe se
gungunātā huā aise meṅ agar tū āye

jab kabhī gardiśh-e-daurāṇ ne satāyā mujhko
merī jānib tere phaile huye bāzū āye