Jab shaam kaa sooraj dhaltaa hai

जब शाम का सूरज ढलता है
Year
Language

जब शाम का सूरज ढलता है
छुप छुप के चाँद के साये में
कोई मुझे पुकारा करता है
जब शाम का सूरज …

जब होश में तारे आते हैं
बेख़ुद रात हो जाती है
मेरे कानों में धीरे धीरे
आवाज़ किसी की आती है
जब शाम का सूरज …

कहीं आँख ज़रा सी लग जाये
सपनों की राणी आती है
मैं उस से आँख चुराऊँ
वो उल्फ़त की साज़ बजाती है
जब शाम का सूरज …

jab śhām kā sūraj ḍhaltā hai
chhup chhup ke chāṇd ke sāye meṅ
koī mujhe pukārā kartā hai
jab śhām kā sūraj …

jab hośh meṅ tāre āte haiṅ
bekhud rāt ho jātī hai
mere kānoṅ meṅ dhīre dhīre
āvāz kisī kī ātī hai
jab śhām kā sūraj …

kahīṅ āṇkh zarā sī lag jāye
sapnoṅ kī rāṇī ātī hai
maiṅ us se āṇkh churāūṇ
vo ulfat kī sāz bajātī hai
jab śhām kā sūraj …