जब रात की तन्हाई दिल बन के धड़कती है
जब रात की तन्हाई दिल बन के धड़कती है
यादों के दरीचे में चिलमन सी सरकती है
यूँ प्यार नहीं छुपता पलकों के झुकाने से
आँखों के लिफ़ाफ़ों में तहरीर चमकती है
ख़ुश-रंग परिंदों के लौट आने के दिन आये
बिछड़े हुये मिलते हैं जब बर्क पिघलती है
शोहरत की बुलन्दी भी पल भर का तमाशा है
जिस डाल पे बैठे हो वो टूट भी सकती है
jab rāt kī tanhāī dil ban ke dhaṛaktī hai
yādoṅ ke darīche meṅ chilman sī saraktī hai
yūṇ pyār nahīṅ chhuptā palkoṅ ke jhukāne se
āṇkhoṅ ke lifāfoṅ meṅ tahrīr chamaktī hai
khuśh-raṅg pariṅdoṅ ke lauṭ āne ke din āye
bichhaṛe huye milte haiṅ jab bark pighaltī hai
śhohrat kī bulandī bhī pal bhar kā tamāśhā hai
jis ḍāl pe baiṭhe ho vo ṭūṭ bhī saktī hai