Jab naam teraa pyaar se likhtee hain ungliyaan (zagjit ghazal)

जब नाम तेरा प्यार से लिखती हैं उंगलियाँ (ज़ग्जित घज़ल)
Year
Language

जब नाम तेरा प्यार से लिखती हैं उंगलियाँ
मेरी तरफ़ ज़माने की उठती हैं उंगलियाँ

दामन सनम का हाथ में आया था एक पल
दिन-रात उस ही पल से महकती हैं उंगलियाँ

जिस दिन से दूर हो गए उस दिन से ही सनम
बस दिन तुम्हारे आने की गिनती हैं उंगलियाँ

पत्थर तराशकर न बना ताज एक नया
फ़नकार की जहाँ में कटती हैं उंगलियाँ

jab nām terā pyār se likhtī haiṅ uṅgliyāṇ
merī taraf zamāne kī uṭhtī haiṅ uṅgliyāṇ

dāman sanam kā hāth meṅ āyā thā ek pal
din-rāt us hī pal se mahaktī haiṅ uṅgliyāṇ

jis din se dūr ho gae us din se hī sanam
bas din tumhāre āne kī gintī haiṅ uṅgliyāṇ

patthar tarāśhkar na banā tāj ek nayā
fankār kī jahāṇ meṅ kaṭtī haiṅ uṅgliyāṇ